Jo beet gaya woh purana tha
aane wala saal aur khoobsoorat banoongi
kudrat ka har rang chura kar ek tasveer banoongi
kuch yaadein hai beete saal ki kuch khatti kuch meethi
choda tha desh apna chodi thi woh sondhi apni meetti
aane wale saal mein hongi kuch khwaish puri
rahne na doongi koi tamanna adhuri
tarsi hui ankhon ko phir apne dikhenge
jinse bichde the saal bhar pehle woh apne ab saath milenge
ek khawab sa jo dekha hai use haqeeqat banaoongi
kudrat ka har rang chura kar ek tasveer banoongi
No comments:
Post a Comment