Aaj ek barse baad laga ki kitni umar peeche chod aye hain hum..kitna kuch dekh liye hain
Peeche dekho to lagta hai kitna samay nikal gaya aur kitni choti si zindagi bachi hai ab.
Mano jaise saari umar nikal gayi sochne main ki jab yeh hoga tab woh karenge.
Ab lagta hai kitna khushmizaz tha woh musam, woh pal, woh ghadi jab chote the...na koi fikra na dukh na chinta. Bas zindagi ke chote chote mukamon ko hasil kar ke khush ho jaate the.
Mujhe mere school ke din apni zindagi ke sabse ache din lagte hain aur shayad sabke ke liye wahi saal sabse jyada yaadgar hote hain.
Maine woh sab kuch kiya hai abhi tak jo main chahti hoon ya chahti thi magar woh samay lagta hain main ek koi dossri shaksiyat thi..mano main ab badal gayi hoon woh koi aur thi...azaadi ...udaane....choti choti baaton par dhe saari khusiyan milna..kitna acha tha sab kuch..
dosto ke saath gappe marna..ghar walon se chup kar film dekhne jaana..kahne ko 10 rs milte the magar lagta tha un 10 rupiyon main kitna kuch kar lenge.
Kitna kuch banna chahti thi main kitni badi badi udaane bharte the padhai karna us wqt bhoj lagta tha magar exams ke baad kitne josh se discuss karte the ki humnein kya teer mara.
us waqt ka har pal yaadgaar hai mere liye.
Woh dost abhi bhi mere bohat kareeb hain..aur shayad un jaise dobara ban hi nahin payenge.
Kaash mere paas koi time machine hoti to woh time wapas le aati.
No comments:
Post a Comment